Jis kay elaj kay liye kafi raqam aur waqt ki zaroorat hai. Ghareeb sey ghareeb naujawan bhi kisi na kisi tarah sey elaj kay liye moti raqam paeda karta hai, chahey usey chori hi kyun na karni parey. Ba'az naujawan to elaj kay liye maan kay zaewer tak baech detey hain. Yeh hakeem naujawanon ko steroids waghaera detey hain jinhein kha kar aksar naujawan kisi na kisi muhlik beemari mein mubtala ho jatey hain. Bohut sey shadi shuda joron mein inhi mughaliton (misconceptions) ki wajah sey alaehdgi ho jati hai.
Amooman 15 aur 20 saal ki umer mein jinsi ghudoodon ki kaarkardagi ki wajah sey naujawan larkon mein mani (semen) zyada bannney lagti hai jiski wajah sey naujawanon mein jinsi aasoodgi ki shadeed khwahish paeda honay lagti hai aur mukhtalif tareeqo'n sey apni jinsi aasoodgi hasil karney ki fikr kartey hain kyun kay hum mani ko mehfooz nahin kar saktey chuna'ncha iska ikhraj zaroori hai aur yeh ikhraj ek sehat mand uzwiati amal hai. Yeh ikhraj jaez ho sakta hai aur na jaez bhi, halal bhi aur haram bhi. Yeh shaoori ho sakta hai aur ghaer shaoori (ehtilam) bhi.
Mani (semen) kay ikhraj kay 4 zaryey hain.
Shaadi (Marriage)
Ehtelam (Nocturnal Ejaculation)
Khud lazzati (Masturbation)
Zina (Adultery)
Har baligh fard mazkoora 4 zaryon mein sey ek aadh zarya zaroor ikhtiyar karta hai, mujhey aisey kisi fard ki talaash hai jo jawan hai aur jinsi aasoodgi kay liye mazkoora 4 mein sey koi bhi zarya ikhtiyar nahin karta. Agar aap hain to mujh sey fori raabta karein aap ka naam 'Guiness Book Of World Records' mein shamil hoga.
No comments:
Post a Comment